Buri Nazar Se Bachne Ki Dua , ” Mafum-e-Hadees: Ibn Abbas (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Allah Se Hussain Wa Hasan (Razi’Allahu Anhu) Ke Liye Panaah Talab Kiya Kartey They Aur Farmatey They Ki –
“Tumharey Buzurg Dada Ibrahim (Alaihay Salam) Bhi Ismaeel Aur Ishaq (Alaihi Salam) Ke Liye Inhi Kalamat Ke Jariye Allah Ki Panaah Maanga Kartey They.”
• Dua: A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin
(Tarjuma: Primary Panaah Maangta Hun Allah Ki Purey Kalamat Ke Jariye, Har Shaitan Se Aur Har Zahreele Janwar Se Aur Har Nuqsaan Pahunchaney Waali Nazar-e-Awful Se.)
✦ Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Hussain wa Hasan radi allahu anhuma ke liye
panaah talab kiya karte they aur farmate they ki tumhare buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke
liye inhi kalimat ke jariye Allah ki panaah maanga karte they.
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
Aawuzu bikalimatillahit-tammah
Min kulli shaytaaniw wa hammah
Wamin kulli aynil Aammah
(Main Panaah maangta hun Allah ki pure pure kalimat ke jariye, har shaitan se aur har zahreele janwar se aur har nuksan pahunchane
wali buri nazar se )
Sahih Bukhari, Jild 4,3371
✦ Umm Salama Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne inke ghar mein ek ladki dekhi jiske chehre
par kaale dhabbey(Black spot) Padh gaye they , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya is par dam kara do kyunki isko nazar lag
gayee hai
Sahih Bukhari, Jild 7, 5739